How to Send Free Text Message Any Number
How to Send Free Text Message Any Number
Hello friends aaj me aapko bataunga ki aap kisi bhi number par
free me text message kese kar sakte hai. Free text message bhejne ke liye aapko
ek website par registered karna hoga.Us website par registered krne ki puri process
or usse free me register kese karte hai me aapko is post me achchi tarah se
samjaunga.
Sbse pahle me aapko batata hu ki is site par registered kese
krte hai:-
Rgister Krne ki process
1. Sbse aapko aapke serach bar me way2sms.com type krna hoga.
Direct link par jane ke liye Go to Link par click kare. Go to Link
2. Ab aapko register button par click krna hoga.
3. Aap jese hi register button par click kroge tb aapke samne
niche diye image ki tarah new window open hoga vha aapko apna pura name,apna
Mobile number,apni E-Mail id,apni janm tarikh or apni city ka name bharna hoga.
4. Puri details bharne ke bad niche diya hua captcha, captcha
box me bhare.( Captcha jesa hai vesa hi captcha box me bhare small letter or
capital letter ka dhyan rakhe.) Uske bad niche diye huye privacy policy or term
condition ke box par tick kar de.Uske bad register button par click kar de.Agar
aap chahe to aap Term&Condition pad bhi skte hai.
5.Jese hi aap puri details bharne ke bad register button par
click kroge to aapka registration succesfull ho jayega or aapka aapke mobile
number par ek massage milega jisme aapka log in password rahega. Aap chaho to
bad me use change karke apne hisab se bhi rakh sakte hai.
Ab registration krne ke bad hum jante hai ki hum free me text
massage kese send kar skte hai:-
Free message send krne ki process:-
1. Sbse pahle aapko vapas se way2sms.com pr jaana hoga. Go to Link
2. Yha aapko Login krna hoga.Login krne ke liye aapko dikh rahe
Enter mobile wale box me apna mobile no dale jo registration ke samay dala tha or
uske niche diye huye password wale box me veh password dale jo aapko aapke
mobile par massage se mile honge.
3. Jese hi aap Log In karoge uske bad aapko niche diye huye
Image ki tarah ek window open hogi.
4. Ab text message bhejne ke liye aapko samne dikh rahe Mobile
no wale box me vo mobile number dale jis par aap message send krna chahte ho,or
niche diye huye box me veh message type
kare jise aapko send karna hai,message type karne ke baad send button par click
kar de.
Dhyan rahe aap bar me 140 word se jyada bada message send nahi
kar skte hai.