How to unlock your android smartphone if it get locked


How to unlock your android smartphone if it get locked

                                            
unlock-your-phone,how-to-unlock-locked-phone
Unlock your locked phone

Android smartphone user phone me mojud apni niji jankari or data ko secure rakhne ke liye password,pattern,screen lock,finger print sensor aadi ka use krte hai.
Users apne hisab se muskil se muskil password set krte hai jisse koi or unka phone unlock na kar paye. Lekin kai bar esa hota hai ki user password set karne ke bad khud hi bhul jata hai  or phir apna phone unlock nahi kar pate hai isi ke chalte me aapko kuch ese tariko ke bare me batane ja rha hu jinki madad se aap password bhool jane par bhi apne device unlock kar skte hai.

Pehla Tarika :- Android device manager ka istemal karke


1. Iske liye aapko apne PC ya phone se https://myaccount.google.com/find-your-phone-guide par jana hoga.Direct link par jane ke liye go to link par click kare. Go to Link

2. Iske bad apna google account log in krna hoga. Yaad rahe aap vo hi account log in kare jo us mobile me log ho jise aap unlock krna chahte hai.

3. Ab aapke ek list open hogi yha se aap us device ka chunav kare jise aap unlock krna chahte ho.
                                           
how-to-unlock-our-locked-phone


4. Iske bad screen par lock your phone likha hua aayega to us par click kar de.
                                                      
how to unlock our locked phone


5. Ab ek naya password enter kar de phir niche diye gaye Lock button par click kar de.
                                             
how to unlock our locked phone


6. Iske bad phone me naya password enter kar phone ko unlock kar de.

Dusra Tarika:- OK Google


Android phones me aajkal google assistant istemal kiya jata hai. Agar aapne apne phone me google assistant ko thik se set kiya ho to aap isse bhi apna phone unlock kar skte hai. Aapko bta du ki yeh features pahle se hi record voice ke basis par kaam krta hai. Agar aapke phone me yeh features On hai to aap OK Google bol kar apna mobile/phone unlock kar sakte hai.

Tisra Tarika:- Samsung Users ke liye


Yeh tarika keval samsang user ke liye hi kaam krta hai.Iske liye aapka phone Samsung account se link hona jaruri hai.
Iske liye aapko par https://findmymobile.samsung.com/ jana hoga. Link par jane ke liye click kare. GO Link

Ab apna ID or password dal kar account ko log in kare. Iske bad unlock option ka chunav kare.Aapka mobile/phone unlock ho jayega.