Whatsapp me group video call kese kare
Whatsapp me group video call kese kare:-
Ab aap
whatsaap se group voice call and group video call kr payenge is features ko
sabhi whatsapp user ke liye uplabha kara diya hai.Group calling features ki
pahli jalak bite sal octomber me mili thi.Iske bad Facebook ne May me aayojit
F8 developer conference me is features ko lekar adhikarik elan kiya hai.Whatsapp ka naya features ab duniya bhar ke user ke
liye IOS app store or Android app store pr uplabha hai.
Me aapko ek
baat yeh bta du ki group calling me ek samay pr sabse jyada char log hi hissa
le skte hai. Davaa hai ki whatsapp par user har din 2 Billion minute calling
karte hai.Ase me group calling ki mang lagatar kai dino se thi.
Whatsapp pr
video call ki suvidha 2016 se mojud hai,lekin is video call me sirf 2 person hi
hissa le skte the.Ab IOS and Android app par user group video calling ka maja
le payenge.Company ne jankari di hai ki whatsapp group calling me sabse jyada
char log hi hissa le payenge.Whatsaap app nirmata ka dava hai ki naya features
kamjor network hone par bhi achchi tarah se kam karega.
Group video call ke liye yeh krna hoga:-
Group call
ke liye aapko sbse pahle whatsapp me video ya voice call krna hoga iske bad
aapko top me bayi taraf ek button najar aayega,
yehi se aapko or user ko call me joda ja skta hai.Aap jese hi kisi ke sath call
me connect hote hai aapko top me dayi taraf add person ka option najar
aayega.Agar iske bad tisra user aapke call ko accept kar leta hai to dono ka
name koma ke sath najar aayenge.Aap group video call ya voice call ke doran
total char logo ki hi jod payenge usse jyada nahi.Lekin aapko group video
calling ka labh lene ke liye whatsapp ka new latest version google play store
ya apple app se download krna hoga.
Ek research
ke doran Fb messenger me 50 log group video call me hissa le skte hai , Skype
par 25 or dusri taraf Snapchat me 16 or
Apple ke Facetime me 32 user ko group call me hissa banane ki suvidha hai.